use kaamyabi ki hajat nahin
use kāmyābī kī hājat nahīñ
mohabbat hai koī tijārat nahīñ
ḳhatāvār shukr-o-shikāyat nahīñ
use baat karne kī aadat nahīñ
maiñ rahtā huuñ us ke ḳhayāloñ meñ gum
mujhe saañs lene kī fursat nahīñ
vo hai rañg ḳhushbū dhanak chāñdnī
use zeb-o-zīnat kī hājat nahīñ
sitamgar vo mujh par ho jab mehrbāñ
mubārak koī aisī saa.at nahīñ
uThā.ūñ maiñ naaz us gul-andām ke
mire vāste ye sa.ādat nahīñ
ḳhushī ke ta.āqub meñ hai ġham yahāñ
ye duniyā jahannum hai jannat nahīñ
qarīn-e-haqīqat hai ye qaul bhī
zamāne meñ ab kuchh sharāfat nahīñ
maiñ is ko mohabbat kā tohfa kahūñ
agar tum ko mujh se shikāyat nahīñ
maiñ kartā huuñ jin sāthiyoñ se gurez
mujhe un se koī shikāyat nahīñ
mujhe hāsidoñ se hai shikva magar
ḳhudā vāste kī adāvat nahīñ
tirī baat sachchī hai vaa.iz magar
bayāñ meñ tire kuchh latāfat nahīñ
jamā.at hai husn-e-ibādat magar
jo dil se na ho vo ibādat nahīñ
hakīmāna ulfat se ārāsta
sharī.at se haT kar tarīqat nahīñ
jahāñ meñ vahī ab hai be-iḳhtiyār
jise jhuuT bakne kī aadat nahīñ
mohabbat meñ hai raaz rāz-e-hayāt
mohabbat se baḌh kar ibādat nahīñ
use kaamyabi ki hajat nahin
mohabbat hai koi tijarat nahin
KHatawar shukr-o-shikayat nahin
use baat karne ki aadat nahin
main rahta hun us ke KHayalon mein gum
mujhe sans lene ki fursat nahin
wo hai rang KHushbu dhanak chandni
use zeb-o-zinat ki hajat nahin
sitamgar wo mujh par ho jab mehrban
mubarak koi aisi saat nahin
uThaun main naz us gul-andam ke
mere waste ye saadat nahin
KHushi ke taaqub mein hai gham yahan
ye duniya jahannum hai jannat nahin
qarin-e-haqiqat hai ye qaul bhi
zamane mein ab kuchh sharafat nahin
main is ko mohabbat ka tohfa kahun
agar tum ko mujh se shikayat nahin
main karta hun jin sathiyon se gurez
mujhe un se koi shikayat nahin
mujhe hasidon se hai shikwa magar
KHuda waste ki adawat nahin
teri baat sachchi hai waiz magar
bayan mein tere kuchh latafat nahin
jamaat hai husn-e-ibaadat magar
jo dil se na ho wo ibaadat nahin
hakimana ulfat se aarasta
shariat se haT kar tariqat nahin
jahan mein wahi ab hai be-iKHtiyar
jise jhuT bakne ki aadat nahin
mohabbat mein hai raaz raaz-e-hayat
mohabbat se baDh kar ibaadat nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.