use kahna ki jab jab aahaTon pe dil dhaDakta hai
use kahnā ki jab jab āhaToñ pe dil dhaḌaktā hai
use kahnā jahāñ saarā usī ko pyaar kahtā hai
use kahnā zamāne se baġhāvat kar nahīñ saktī
use kahnā magar tark-e-vafā se Dar bhī lagtā hai
use kahnā duāoñ meñ ḳhudā se tum ko māñgā hai
use kahnā ḳhudā dil kī duā.eñ ḳhuub suntā hai
use kahnā ki sadiyāñ ho ga.iiñ bichhḌe hue tum se
use kahnā lahū āñkhoñ se merī ab bhī bahtā hai
use kahnā muqaddar kā likhā ab Tal nahīñ saktā
use kahnā bhalā qismat se koī apnī laḌtā hai
use kahnā jise tum pyaar se kahte the 'nīlūfar'
use kahnā tumheñ ye naam kyā ab yaad rahtā hai
use kahna ki jab jab aahaTon pe dil dhaDakta hai
use kahna jahan sara usi ko pyar kahta hai
use kahna zamane se baghawat kar nahin sakti
use kahna magar tark-e-wafa se Dar bhi lagta hai
use kahna duaon mein KHuda se tum ko manga hai
use kahna KHuda dil ki duaen KHub sunta hai
use kahna ki sadiyan ho gain bichhDe hue tum se
use kahna lahu aankhon se meri ab bhi bahta hai
use kahna muqaddar ka likha ab Tal nahin sakta
use kahna bhala qismat se koi apni laDta hai
use kahna jise tum pyar se kahte the 'nilufar'
use kahna tumhein ye nam kya ab yaad rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.