use KHayal mein bandhun ki KHwab mein dekhun
use KHayal mein bandhun ki KHwab mein dekhun
Kanwal Pradeep Mahajan
MORE BYKanwal Pradeep Mahajan
use ḳhayāl meñ bāñdhūñ ki ḳhvāb meñ dekhūñ
koī vo but hai use kyoñ hijāb meñ dekhūñ
ye vasf bhī dil-e-ḳhāna-ḳharāb meñ dekhūñ
sarāpā maiñ use sau sau hijāb meñ dekhūñ
usī kā naqsh maiñ har intiḳhāb meñ dekhūñ
usī kā zikr hai jis bhī kitāb meñ dekhūñ
usī kā 'aks ubhar aa.e safhe safhe par
usī kā naam maiñ har ek baab meñ dekhūñ
usī ke ruḳh ke ḳhad-o-ḳhāl paḌhtā rahtā huuñ
vo hī na ho kahīñ shāmil nisāb meñ dekhūñ
savāl kar to diyā us se be-ḳhudī meñ 'kañval'
mire nasīb meñ kyā hai javāb meñ dekhūñ
use KHayal mein bandhun ki KHwab mein dekhun
koi wo but hai use kyon hijab mein dekhun
ye wasf bhi dil-e-KHana-KHarab mein dekhun
sarapa main use sau sau hijab mein dekhun
usi ka naqsh main har intiKHab mein dekhun
usi ka zikr hai jis bhi kitab mein dekhun
usi ka 'aks ubhar aae safhe safhe par
usi ka nam main har ek bab mein dekhun
usi ke ruKH ke KHad-o-KHal paDhta rahta hun
wo hi na ho kahin shamil nisab mein dekhun
sawal kar to diya us se be-KHudi mein 'kanwal'
mere nasib mein kya hai jawab mein dekhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.