use mai pila ke ye kah diya tere samne mere samne
use mai pilā ke ye kah diyā tire sāmne mire sāmne
hai hazār miil kā fāsla tire sāmne mire sāmne
vahī 'ishq hai vahī zaat hai vahī raat hai vahī baat hai
shab-o-roz kā vahī aa.ina tire sāmne mire sāmne
mirī ḳhvāhisheñ sabhī mar ga.iiñ mire ḳhvāb saare hī bujh ga.e
dil-e-nā-murād ne phir kahā tire sāmne mire sāmne
ka.ī sānahe hue raat bhar vo lahū kī holī thī chār-sū
vahī aah bhartī huī fazā tire sāmne mire sāmne
vahī soch hai vahī ḳhvāb hai vahī naam hai vahī ruup hai
vahī gard gard hai aa.ina tire sāmne mire sāmne
ka.ī zindagī kī udāsiyāñ ka.ī tohmateñ haiñ lagī huī
ye batā batā ki vo thak gayā tire sāmne mire sāmne
vo simaT ga.ī ki bikhar ga.ī mire e'tibār kī raushnī
dil-e-ashk-bār ne ye kahā tire sāmne mire sāmne
use mai pila ke ye kah diya tere samne mere samne
hai hazar mil ka fasla tere samne mere samne
wahi 'ishq hai wahi zat hai wahi raat hai wahi baat hai
shab-o-roz ka wahi aaina tere samne mere samne
meri KHwahishen sabhi mar gain mere KHwab sare hi bujh gae
dil-e-na-murad ne phir kaha tere samne mere samne
kai sanahe hue raat bhar wo lahu ki holi thi chaar-su
wahi aah bharti hui faza tere samne mere samne
wahi soch hai wahi KHwab hai wahi nam hai wahi rup hai
wahi gard gard hai aaina tere samne mere samne
kai zindagi ki udasiyan kai tohmaten hain lagi hui
ye bata bata ki wo thak gaya tere samne mere samne
wo simaT gai ki bikhar gai mere e'tibar ki raushni
dil-e-ashk-bar ne ye kaha tere samne mere samne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.