use main talash kahan karun wo uruj hai main zawal hun
use main talash kahan karun wo uruj hai main zawal hun
Sajjad Baqar Rizvi
MORE BYSajjad Baqar Rizvi
use maiñ talāsh kahāñ karūñ vo 'urūj hai maiñ zavāl huuñ
ġham-e-mustaqil mirā hal kahāñ vo javāb hai maiñ savāl huuñ
na.e mausamoñ kī huuñ aarzū na.ī rif.atoñ kī huuñ justujū
mujhe toḌ ḳhvāb-e-jahān-e-nau maiñ tilism-e-bāb-e-ḳhayāl huuñ
mire aa.ine kī kudūrateñ mirī apnī zaat kī gard haiñ
mujhe kab malāl kisī se ho ki maiñ aap apnā ma.aal huuñ
mirī bandagī ke ye mashġhale ki ḳhudā.ī se bhī muāmle
kabhī ḳhud hī dast-e-karīm huuñ kabhī ḳhud hī dast-e-savāl huuñ
ye buland-o-past-e-jahān-e-dil kahīñ hausle kahīñ marhale
kabhī huuñ maiñ auj-e-ḳhayāl par kabhī zo'f-e-jāñ se niDhāl huuñ
kabhī khil ga.ī jo koī kalī to payām-e-shauq galī galī
kabhī aa ga.ī jo havā-e-ġham to maiñ gard-e-bād-e-malāl huuñ
kabhī mujh se soz-e-hayāt le kabhī mujh se sāz-e-hayāt sun
maiñ fazā-e-qarya-e-hijr huuñ maiñ havā-e-shahr-e-visāl huuñ
kabhī maiñ asīr-e-makāñ huā kabhī māvarā-e-zamāñ huā
kabhī aaj meñ kabhī kal meñ huuñ maiñ ajiib sūrat-e-hāl huuñ
koī apne aap se hai mafar na hoñ apnī zaat se bā-ḳhabar
maiñ talāsh apnī kahāñ karūñ ki maiñ aap apnī misāl huuñ
maiñ huuñ apnī zaat meñ ḳhud chaman maiñ huuñ 'bāqar' apne numū kā fan
kabhī ġhunchagī meñ girafta-dil kabhī josh-e-jāñ se nihāñ huuñ
use main talash kahan karun wo 'uruj hai main zawal hun
gham-e-mustaqil mera hal kahan wo jawab hai main sawal hun
nae mausamon ki hun aarzu nai rifaton ki hun justuju
mujhe toD KHwab-e-jahan-e-nau main tilism-e-bab-e-KHayal hun
mere aaine ki kuduraten meri apni zat ki gard hain
mujhe kab malal kisi se ho ki main aap apna maal hun
meri bandagi ke ye mashghale ki KHudai se bhi muamle
kabhi KHud hi dast-e-karim hun kabhi KHud hi dast-e-sawal hun
ye buland-o-past-e-jahan-e-dil kahin hausle kahin marhale
kabhi hun main auj-e-KHayal par kabhi zo'f-e-jaan se niDhaal hun
kabhi khil gai jo koi kali to payam-e-shauq gali gali
kabhi aa gai jo hawa-e-gham to main gard-e-baad-e-malal hun
kabhi mujh se soz-e-hayat le kabhi mujh se saz-e-hayat sun
main faza-e-qarya-e-hijr hun main hawa-e-shahr-e-visal hun
kabhi main asir-e-makan hua kabhi mawara-e-zaman hua
kabhi aaj mein kabhi kal mein hun main ajib surat-e-haal hun
koi apne aap se hai mafar na hon apni zat se ba-KHabar
main talash apni kahan karun ki main aap apni misal hun
main hun apni zat mein KHud chaman main hun 'baqar' apne numu ka fan
kabhi ghunchagi mein girafta-dil kabhi josh-e-jaan se nihan hun
- Book : Kulliyat-e-Baqir (Pg. 217)
- Author : Sajjad Baqir Rizvi
- Publication : Sayyed Mohammad Ali Anjum Rizvi (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.