use maktub bhi tahrir karna
use maktūb bhī tahrīr karnā
lage hai chāñd ko tasḳhīr karnā
asīrān-e-qafas kā ham-navā huuñ
mujhe bhī vāqif-e-zanjīr karnā
sañbhal jaane do kuchh vahshat-zada ko
bayāñ phir ḳhvāb kī ta.abīr karnā
tabassum-rez manzar kah rahe haiñ
lab-e-jū ghar koī ta.amīr karnā
ham ahl-e-dil kā maslak hī nahīñ hai
kisī insān ko dil-gīr karnā
hai ab to baat karnā rāz-dāñ se
havā ke dosh par tahrīr karnā
mirā sheva nahīñ 'sajjād-mirzā'
kisī insān kī tahqīr karnā
use maktub bhi tahrir karna
lage hai chand ko tasKHir karna
asiran-e-qafas ka ham-nawa hun
mujhe bhi waqif-e-zanjir karna
sanbhal jaane do kuchh wahshat-zada ko
bayan phir KHwab ki tabir karna
tabassum-rez manzar kah rahe hain
lab-e-ju ghar koi tamir karna
hum ahl-e-dil ka maslak hi nahin hai
kisi insan ko dil-gir karna
hai ab to baat karna raaz-dan se
hawa ke dosh par tahrir karna
mera shewa nahin 'sajjad-mirza'
kisi insan ki tahqir karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.