use malal ho kya dost ki judai ka
use malāl ho kyā dost kī judā.ī kā
jo sah chukā ho ġham-o-rañj āshnā.ī kā
bhalā.ī meñ bhī nikālā sabab burā.ī kā
banā diyā hai adū ne pahāḌ raa.ī kā
ye chāñd-tāre ye sūraj haiñ kyā darīche haiñ
tujhe bhī shauq hai goyā ki ḳhud-numā.ī kā
taḌaptā dekh ke charke lagā.e bismil ko
sitam to Thiik pa aalam tirī DhiTā.ī kā
maiñ jab yahāñ se gayā mere haath ḳhālī the
hisāb le liyā duniyā ne paa.ī paa.ī kā
use malal ho kya dost ki judai ka
jo sah chuka ho gham-o-ranj aashnai ka
bhalai mein bhi nikala sabab burai ka
bana diya hai adu ne pahaD rai ka
ye chand-tare ye suraj hain kya dariche hain
tujhe bhi shauq hai goya ki KHud-numai ka
taDapta dekh ke charke lagae bismil ko
sitam to Thik pa aalam teri DhiTai ka
main jab yahan se gaya mere hath KHali the
hisab le liya duniya ne pai pai ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.