use na dekh ke dekha to kya mila mujhko
use na dekh ke dekhā to kyā milā mujh ko
maiñ aadhī raat ko rotā huā milā mujh ko
tirā na milnā ajab gul khilā gayā ab ke
tire hī jaisā koī dūsrā milā mujh ko
kal ek laash milī thī mujhe samundar meñ
usī kī jeb se terā patā milā mujh ko
bahut hī duur kahīñ koī bam girā thā magar
mirā makān bhī jaltā huā milā mujh ko
mirī ġhazal thī pa 'alvī' kā naam thā us par
ġhazal paḌhī to anokhā mazā milā mujh ko
use na dekh ke dekha to kya mila mujh ko
main aadhi raat ko rota hua mila mujh ko
tera na milna ajab gul khila gaya ab ke
tere hi jaisa koi dusra mila mujh ko
kal ek lash mili thi mujhe samundar mein
usi ki jeb se tera pata mila mujh ko
bahut hi dur kahin koi bam gira tha magar
mera makan bhi jalta hua mila mujh ko
meri ghazal thi pa 'alwi' ka nam tha us par
ghazal paDhi to anokha maza mila mujh ko
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 45)
- Author : Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.