use panw jamane ko kinara mil gaya hai
use paañv jamāne ko kināra mil gayā hai
banegā dost ab dushman ishāra mil gayā hai
bahut ro.e haiñ maañ beTe kisī ko yaad kar ke
bahal jā.egā beTe ko ġhubāra mil gayā hai
sahelī saath chalte haiñ chal us kī chhāñv meñ ham
ġhazab kī dhuup meñ ik abr-pāra mil gayā hai
vo merā ḳhud-nigar nārāz ho kar jaane vaalā
palaT aayā to maiñ samjhī dobāra mil gayā hai
safar kī samt kā maiñ ḳhud ta.ayyun kar chukī thī
na jaane tum ye kyuuñ samjhe sitāra mil gayā hai
huī pal bhar meñ ḳhākistar ta.alluq kī imārat
bhare bārūd ko jaise sharāra mil gayā hai
haiñ us ke sar-varaq pur-ḳhār phūloñ se ziyāda
hameñ aglī mohabbat kā shumāra mil gayā hai
chhupā kar zikr karnā thā mirā sheroñ meñ us ne
so us ko jal-parī kā isti.āra mil gayā hai
use panw jamane ko kinara mil gaya hai
banega dost ab dushman ishaara mil gaya hai
bahut roe hain man beTe kisi ko yaad kar ke
bahal jaega beTe ko ghubara mil gaya hai
saheli sath chalte hain chal us ki chhanw mein hum
ghazab ki dhup mein ek abr-para mil gaya hai
wo mera KHud-nigar naraaz ho kar jaane wala
palaT aaya to main samjhi dobara mil gaya hai
safar ki samt ka main KHud tayyun kar chuki thi
na jaane tum ye kyun samjhe sitara mil gaya hai
hui pal bhar mein KHakistar talluq ki imarat
bhare barud ko jaise sharara mil gaya hai
hain us ke sar-waraq pur-KHar phulon se ziyaada
hamein agli mohabbat ka shumara mil gaya hai
chhupa kar zikr karna tha mera sheron mein us ne
so us ko jal-pari ka istiara mil gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.