use phir se koi dhoka hua hai
use phir se koī dhokā huā hai
mirā saayā kahīñ Thahrā huā hai
ajab sā shor hai pahne hue vo
hamārī ḳhāmushī ko kyā huā hai
jo kahtā thā ki sūraj lā.egā vo
añdheroñ ne use gherā huā hai
maiñ us ko aa.ine meñ DhūñDhtā huuñ
mirā chehra kahīñ rakkhā huā hai
jagānā kab se us ko chāhtā huuñ
muqaddar hai ki bas soyā huā hai
zamīñ kaise maiñ apnī chhoḌ detā
samundar kyā kabhī qatra huā hai
siyāsat bhī ajab bāzār hai ik
usūloñ kā jahāñ saudā huā hai
use phir se koi dhoka hua hai
mera saya kahin Thahra hua hai
ajab sa shor hai pahne hue wo
hamari KHamushi ko kya hua hai
jo kahta tha ki suraj laega wo
andheron ne use ghera hua hai
main us ko aaine mein DhunDhta hun
mera chehra kahin rakkha hua hai
jagana kab se us ko chahta hun
muqaddar hai ki bas soya hua hai
zamin kaise main apni chhoD deta
samundar kya kabhi qatra hua hai
siyasat bhi ajab bazar hai ek
usulon ka jahan sauda hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.