use samjha-bujha ke hum to haare
use samjhā-bujhā ke ham to haare
na aayā dil ye qaabū meñ hamāre
sun ai ġhāfil jaras kyā kah rahā hai
paḌā rah tū ham apnī rah sudhāre
koī aatā nahīñ ho jab madad ko
sivā us ke koī kis ko pukāre
hifāzat karte haiñ ham shahr-e-dil kī
kahīñ sote koī shab-ḳhūñ na maare
samundar kyuuñ huā tū itnā khārī
koī royā thā kyā tere kināre
use samjha-bujha ke hum to haare
na aaya dil ye qabu mein hamare
sun ai ghafil jaras kya kah raha hai
paDa rah tu hum apni rah sudhaare
koi aata nahin ho jab madad ko
siwa us ke koi kis ko pukare
hifazat karte hain hum shahr-e-dil ki
kahin sote koi shab-KHun na mare
samundar kyun hua tu itna khaari
koi roya tha kya tere kinare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.