use ujale ka KHatra satata rahta hai
use ujāle kā ḳhatra satātā rahtā hai
pakaḌ pakaḌ ke vo jugnū bujhātā rahtā hai
duā.eñ detā hai koī na bhiik māñge yahāñ
magar vo chaak pe kaase banātā rahtā hai
havā pe zor to chaltā nahīñ hai jugnū kā
magar charāġh kī himmat baḌhātā rahtā hai
vo shaḳhs jis ko abhī tairnā nahīñ aatā
vo Dūbne ke favā.ed ginātā rahtā hai
ḳhamoshiyoñ se baḌā rabt thā jise 'yāsir'
vo canvās pe chīḳheñ banātā rahtā hai
use ujale ka KHatra satata rahta hai
pakaD pakaD ke wo jugnu bujhata rahta hai
duaen deta hai koi na bhik mange yahan
magar wo chaak pe kase banata rahta hai
hawa pe zor to chalta nahin hai jugnu ka
magar charagh ki himmat baDhata rahta hai
wo shaKHs jis ko abhi tairna nahin aata
wo Dubne ke fawaed ginata rahta hai
KHamoshiyon se baDa rabt tha jise 'yasir'
wo canwas pe chiKHen banata rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.