Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

use yaadon mein jab lana musalsal kar diya maine

Anubhav Gupta

use yaadon mein jab lana musalsal kar diya maine

Anubhav Gupta

MORE BYAnubhav Gupta

    use yādoñ meñ jab laanā musalsal kar diyā maiñ ne

    use vo hichkiyāñ aa.iiñ ki pāgal kar diyā maiñ ne

    kitāboñ meñ paḌhe jab ek-tarfa pyaar ke qisse

    ḳhud apnā dil tamannāoñ maqtal kar diyā maiñ ne

    ka.ī ġhazleñ paḌī thiiñ nā-mukammal ek arse se

    use jab aaj dekhā to mukammal kar diyā maiñ ne

    jo saaya ham-qadam ban kar safar meñ saath rahtā thā

    hamesha ke liye ḳhud se alag kal kar diyā maiñ ne

    sunā to ḳhair se aayā huuñ us ko dāstāñ apnī

    magar un phuul āñkhoñ ko bojhal kar diyā maiñ ne

    tumhāre baal maiñ ne khol kar mausam badal Daalā

    fazā meñ duur tak bādal bādal kar diyā maiñ ne

    dhuāñ yādoñ kaafī thā dil kamzor karne ko

    jalā kar raakh kal biiḌī banDal kar diyā maiñ ne

    use yaadon mein jab lana musalsal kar diya main ne

    use wo hichkiyan aain ki pagal kar diya main ne

    kitabon mein paDhe jab ek-tarfa pyar ke qisse

    KHud apna dil tamannaon ka maqtal kar diya main ne

    kai ghazlen paDi thin na-mukammal ek arse se

    use jab aaj dekha to mukammal kar diya main ne

    jo saya ham-qadam ban kar safar mein sath rahta tha

    hamesha ke liye KHud se alag kal kar diya main ne

    suna to KHair se aaya hun us ko dastan apni

    magar un phul si aankhon ko bojhal kar diya main ne

    tumhaare baal main ne khol kar mausam badal Dala

    faza mein dur tak baadal hi baadal kar diya main ne

    dhuan yaadon ka hi kafi tha dil kamzor karne ko

    jala kar rakh kal biDi ka banDal kar diya main ne

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now