use yaqin meri baaton pe ab na aaega
use yaqīñ mirī bātoñ pe ab na aa.egā
mirā lahū hī mere ba.ad haq jatā.egā
vo baat karne se pahle hī zaḳhm detā hai
har ek zaḳhm use aa.ina dikhā.egā
ye kaisī rasm jise chaah ke nibhā na sake
zamāna hai ye kisī din badal hī jā.egā
vo jāntā hī kahāñ hai mere qabīle ko
merī jaḌoñ ko kuredegā jaan jā.egā
pul sirāt se har roz hai safar merā
ye dekhnā hai kahāñ tak vo āzmā.egā
use yaqin meri baaton pe ab na aaega
mera lahu hi mere baad haq jataega
wo baat karne se pahle hi zaKHm deta hai
har ek zaKHm use aaina dikhaega
ye kaisi rasm jise chah ke nibha na sake
zamana hai ye kisi din badal hi jaega
wo jaanta hi kahan hai mere qabile ko
meri jaDon ko kuredega jaan jaega
pul siraat se har roz hai safar mera
ye dekhna hai kahan tak wo aazmaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.