use ye wahm wo shatir baDa hai
use ye vahm vo shātir baḌā hai
abhī ham se kahāñ paalā paḌā hai
vo ḳhud ḳhāmosh hī kab ho rahā thā
tamāñcha vaqt ne muñh par jaḌā hai
dalīleñ dete dete thak chukā maiñ
vo jāhil apnī hī zid par aḌā hai
udhar kuchh ahl-e-haq sīna-sipar haiñ
idhar bātil kā ik lashkar khaḌā hai
tirī tāzīm aur kaise karūñ maiñ
tire qadmoñ meñ merā sar paḌā hai
maiñ kaise chhoḌ duuñ ab haath us kā
mirī ḳhātir vo duniyā se laḌā hai
ḳhudā.ī kā jise da.avā thā kal tak
vo apnī qabr meñ auñdhā paḌā hai
use kyoñ aa.ina dikhlā rahe ho
ye be-ġhairat baḌā chiknā ghaḌā hai
lahū ristā hai mere dil meñ ab tak
tumhārī yaad kā ḳhanjar gaḌā hai
use ye wahm wo shatir baDa hai
abhi hum se kahan pala paDa hai
wo KHud KHamosh hi kab ho raha tha
tamancha waqt ne munh par jaDa hai
dalilen dete dete thak chuka main
wo jahil apni hi zid par aDa hai
udhar kuchh ahl-e-haq sina-sipar hain
idhar baatil ka ek lashkar khaDa hai
teri tazim aur kaise karun main
tere qadmon mein mera sar paDa hai
main kaise chhoD dun ab hath us ka
meri KHatir wo duniya se laDa hai
KHudai ka jise dawa tha kal tak
wo apni qabr mein aundha paDa hai
use kyon aaina dikhla rahe ho
ye be-ghairat baDa chikna ghaDa hai
lahu rista hai mere dil mein ab tak
tumhaari yaad ka KHanjar gaDa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.