use zarur koi kaam aa gaya hoga
use zarūr koī kaam aa gayā hogā
vagarna koī kisī ko yuuñ bhūltā hogā
kahī thī us ne so ham ne bhī maan lī ye baat
hamīñ ġhalat haiñ hamīñ ne ġhalat kiyā hogā
bichhaḌte vaqt shikan tak nahīñ thī māthe par
use malāl judā.ī kā kuchh huā hogā
jise bhī pyaar kiyā duur ho gayā ham se
tū ek aur chalā jā.egā to kyā hogā
koī to hogā jo har haal meñ hameñ chāhe
koī to sirf hamāre liye banā hogā
ḳhudā ne ḳhuub banā.ī hai kā.enāt magar
hameñ banā ke vo ḳhud se bahut ḳhafā hogā
udāsī ek dafa phir se shart jiit ga.ī
kisī tarah hameñ ḳhush rahnā sīkhnā hogā
use zarur koi kaam aa gaya hoga
wagarna koi kisi ko yun bhulta hoga
kahi thi us ne so hum ne bhi man li ye baat
hamin ghalat hain hamin ne ghalat kiya hoga
bichhaDte waqt shikan tak nahin thi mathe par
use malal judai ka kuchh hua hoga
jise bhi pyar kiya dur ho gaya hum se
tu ek aur chala jaega to kya hoga
koi to hoga jo har haal mein hamein chahe
koi to sirf hamare liye bana hoga
KHuda ne KHub banai hai kaenat magar
hamein bana ke wo KHud se bahut KHafa hoga
udasi ek dafa phir se shart jit gai
kisi tarah hamein KHush rahna sikhna hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.