ushshaq tere sab the par zar tha so main tha
ushshāq tere sab the par zaar thā so maiñ thā
jag ke ḳharāba andar ik ḳhvār thā so maiñ thā
dāḳhil shahīdoñ meñ to lohū lagā ke sab the
shamshīr-e-nāz se pur-afgār thā so maiñ thā
sumbul ke pech meñ dil tere na thā kisī kā
nargis kā ek terī bīmār thā so maiñ thā
tujh ghar meñ arz-e-matlab kis kī na thā zabāñ par
dar par jo tere naqsh-e-dīvār thā so maiñ thā
dāġh-e-mohabbat ai gul jab thā tirā na jag meñ
dāġhoñ se jis kā siina gulzār thā so maiñ thā
go ishq ke tumhāre ushshāq ab muqir haiñ
avval zabāñ pe jis kī iqrār thā so maiñ thā
tujh ishq meñ nasīhat sab yaar mānte the
nāseh ke par suḳhan se be-zār thā so maiñ thā
is mai-kade meñ gaahe ai 'soz' ham na bahke
sab mast o be-ḳhabar the hushyār thā so maiñ thā
ushshaq tere sab the par zar tha so main tha
jag ke KHaraba andar ek KHwar tha so main tha
daKHil shahidon mein to lohu laga ke sab the
shamshir-e-naz se pur-afgar tha so main tha
sumbul ke pech mein dil tere na tha kisi ka
nargis ka ek teri bimar tha so main tha
tujh ghar mein arz-e-matlab kis ki na tha zaban par
dar par jo tere naqsh-e-diwar tha so main tha
dagh-e-mohabbat ai gul jab tha tera na jag mein
daghon se jis ka sina gulzar tha so main tha
go ishq ke tumhaare ushshaq ab muqir hain
awwal zaban pe jis ki iqrar tha so main tha
tujh ishq mein nasihat sab yar mante the
naseh ke par suKHan se be-zar tha so main tha
is mai-kade mein gahe ai 'soz' hum na bahke
sab mast o be-KHabar the hushyar tha so main tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.