usi amal ki zara si sharab deta chal
usī amal kī zarā sī sharāb detā chal
sharar ke haath meñ koī gulāb detā chal
vo intishār-e-ġham-e-zīst meñ jilā degā
magar usī ko ḳhushī kī kitāb detā chal
har ik savāl kā miltā rahā javāb tujhe
kisī savāl kā tū bhī javāb detā chal
yahāñ to terī hukūmat kā kārḳhāna thā
kabhī hamāre ġhamoñ kā hisāb detā chal
zamīñ sukūn kī hālat meñ aa.egī lekin
use 'nadīm' kī she.arī kitāb detā chal
usi amal ki zara si sharab deta chal
sharar ke hath mein koi gulab deta chal
wo intishaar-e-gham-e-zist mein jila dega
magar usi ko KHushi ki kitab deta chal
har ek sawal ka milta raha jawab tujhe
kisi sawal ka tu bhi jawab deta chal
yahan to teri hukumat ka karKHana tha
kabhi hamare ghamon ka hisab deta chal
zamin sukun ki haalat mein aaegi lekin
use 'nadim' ki sheari kitab deta chal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.