usi chiz ki koi izzat nahin
usi chiz ki koi izzat nahin
Abu Mohammad Syed Husain Saifi
MORE BYAbu Mohammad Syed Husain Saifi
usī chiiz kī koī izzat nahīñ
zamāne ko jis kī zarūrat nahīñ
sadāqat se jis ko mohabbat nahīñ
ḳhudā kī qasam us ko rāhat nahīñ
hamīñ se hai jitnī mohabbat hameñ
kisī se bhī utnī mohabbat nahīñ
ġhulāmī hī ne.amat ho jin ke liye
tijārat meñ un ko masarrat nahīñ
na.ī kaun sī chiiz duniyā meñ hai
ye kahiye ki ab vo jahālat nahīñ
vo duniyā ke jhagḌe baḌhā.egā kyā
jise zikr-e-ḳhāliq se fursat nahīñ
ye maanā ki hai dushman-e-bad ajal
magar is se bachne kī sūrat nahīñ
jo pahle the ab bhī vahī haiñ mire
hamārī zabāñ hī meñ lazzat nahīñ
ḳhudā kī zarūrat hai 'saifī' hameñ
ḳhudā ko hamārī zarūrat nahīñ
usi chiz ki koi izzat nahin
zamane ko jis ki zarurat nahin
sadaqat se jis ko mohabbat nahin
KHuda ki qasam us ko rahat nahin
hamin se hai jitni mohabbat hamein
kisi se bhi utni mohabbat nahin
ghulami hi neamat ho jin ke liye
tijarat mein un ko masarrat nahin
nai kaun si chiz duniya mein hai
ye kahiye ki ab wo jahaalat nahin
wo duniya ke jhagDe baDhaega kya
jise zikr-e-KHaliq se fursat nahin
ye mana ki hai dushman-e-bad ajal
magar is se bachne ki surat nahin
jo pahle the ab bhi wahi hain mere
hamari zaban hi mein lazzat nahin
KHuda ki zarurat hai 'saifi' hamein
KHuda ko hamari zarurat nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.