usi ghar mein ujale bolte hain
usī ghar meñ ujāle bolte haiñ
jahāñ hāthoñ ke chhāle bolte haiñ
kahīñ sūkhī huī roTī ke TukḌe
kahīñ ghī ke nivāle bolte haiñ
chalo ehsās kī devī ko puujo
mire dil ke shivāle bolte haiñ
nahīñ aaya koī muddat se is meñ
havelī ke ye jaale bolte haiñ
kitāb-e-ruḳh pe jo likkhā huā hai
usī ke sab havāle bolte haiñ
havā-e-vaqt aa ḳhāmosh kar de
jo darvāzoñ pe taale bolte haiñ
zabāñ kī nahr se ġhībat ke meñDak
phir apnā sar nikāle bolte haiñ
usi ghar mein ujale bolte hain
jahan hathon ke chhaale bolte hain
kahin sukhi hui roTi ke TukDe
kahin ghi ke niwale bolte hain
chalo ehsas ki dewi ko pujo
mere dil ke shiwale bolte hain
nahin aaya koi muddat se is mein
haweli ke ye jale bolte hain
kitab-e-ruKH pe jo likkha hua hai
usi ke sab hawale bolte hain
hawa-e-waqt aa KHamosh kar de
jo darwazon pe tale bolte hain
zaban ki nahr se ghibat ke meinDak
phir apna sar nikale bolte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.