usi hasin se chaman mein bahaar aaj bhi hai
usī hasīñ se chaman meñ bahār aaj bhī hai
usī nazar se diloñ ko qarār aaj bhī hai
jo thā sadā se mirā ġham-gusār aaj bhī hai
juḌā usī se mire dil kā taar aaj bhī hai
guzar gayā mire armāñ kā kārvāñ lekin
tire firāq kā uḌtā ġhubār aaj bhī hai
bas ek jalva-e-rañgīnī-e-adā ke liye
ye chashm-e-shauq mirī be-qarār aaj bhī hai
visāl-e-yār kī ḳhushiyāñ thī chand lamhoñ kī
ġham-e-habīb se dil be-qarār aaj bhī hai
usi hasin se chaman mein bahaar aaj bhi hai
usi nazar se dilon ko qarar aaj bhi hai
jo tha sada se mera gham-gusar aaj bhi hai
juDa usi se mere dil ka tar aaj bhi hai
guzar gaya mere arman ka karwan lekin
tere firaq ka uDta ghubar aaj bhi hai
bas ek jalwa-e-rangini-e-ada ke liye
ye chashm-e-shauq meri be-qarar aaj bhi hai
visal-e-yar ki KHushiyan thi chand lamhon ki
gham-e-habib se dil be-qarar aaj bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.