usi ka zikr kahani se iqtibas rahe
usī kā zikr kahānī se iqtibās rahe
vo har ghaḌī jo mire vāste udaas rahe
ye us kā qurb mujhe ishq kī atā se milā
vo duur jaa.e magar mere ās-pās rahe
tarah tarah se mujhe tū bichhaḌ bichhaḌ ke milā
tarah tarah ke mire zehn meñ qayās rahe
tumhāre ġham ke sivā aur koī ġham bhī na thā
tumhāre dard mire dard kī asaas rahe
vo kitne naaz se kahne lage 'rabāb' agar
udaas rahne lagī hai to phir udaas rahe
usi ka zikr kahani se iqtibas rahe
wo har ghaDi jo mere waste udas rahe
ye us ka qurb mujhe ishq ki ata se mila
wo dur jae magar mere aas-pas rahe
tarah tarah se mujhe tu bichhaD bichhaD ke mila
tarah tarah ke mere zehn mein qayas rahe
tumhaare gham ke siwa aur koi gham bhi na tha
tumhaare dard mere dard ki asas rahe
wo kitne naz se kahne lage 'rabab' agar
udas rahne lagi hai to phir udas rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.