usi ke nam se har kaam ka aaghaz karta hun
usī ke naam se har kaam kā āġhāz kartā huuñ
jabīñ hai ḳhaak par so arsh tak parvāz kartā huuñ
mire dushman bhī merī is adā par daad dete haiñ
maiñ is andāz se un ko nazar-andāz kartā huuñ
mujhe ik raaz se parda uThānā jab bhī hotā hai
kisī ko rāzdārī se sharīk-e-rāz kartā huuñ
tire hī naam se miltī hai vus.at dil kī duniyā ko
maiñ lamha lamha terā zikr be-āvāz kartā huuñ
ye urdu bhā.ī-chāra kī alam-bardār hai 'kāshif'
zabāñ par apnī maiñ kuchh is liye bhī naaz kartā huuñ
usi ke nam se har kaam ka aaghaz karta hun
jabin hai KHak par so arsh tak parwaz karta hun
mere dushman bhi meri is ada par dad dete hain
main is andaz se un ko nazar-andaz karta hun
mujhe ek raaz se parda uThana jab bhi hota hai
kisi ko raazdari se sharik-e-raaz karta hun
tere hi nam se milti hai wusat dil ki duniya ko
main lamha lamha tera zikr be-awaz karta hun
ye urdu bhai-chaara ki alam-bardar hai 'kashif'
zaban par apni main kuchh is liye bhi naz karta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.