usi ke qadmon se ek chehra nikalna hai
usī ke qadmoñ se ek chehra nikālnā hai
gire shajar se havā kā shajara nikālnā hai
maiñ der se ek dar pe ḳhālī khaḌā huā huuñ
kisī kī masrūfiyat meñ vaqfa nikālnā hai
mujhe pahāḌoñ ko khodte dekh kyā rahe ho
kahīñ pahuñchnā nahīñ hai rasta nikālnā hai
baḌe-baḌoñ se akaḌ ke miltā huuñ āj-kal maiñ
mujhe ḳhudāoñ meñ ek banda nikālnā hai
bahut dinoñ se sukūn phailā hai zindagī meñ
isī tasallī meñ ab achambhā nikālnā hai
usi ke qadmon se ek chehra nikalna hai
gire shajar se hawa ka shajara nikalna hai
main der se ek dar pe KHali khaDa hua hun
kisi ki masrufiyat mein waqfa nikalna hai
mujhe pahaDon ko khodte dekh kya rahe ho
kahin pahunchna nahin hai rasta nikalna hai
baDe-baDon se akaD ke milta hun aaj-kal main
mujhe KHudaon mein ek banda nikalna hai
bahut dinon se sukun phaila hai zindagi mein
isi tasalli mein ab achambha nikalna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.