Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

usi KHush-nawa mein hain sab hunar mujhe pahle tha na qayas bhi

Hasan Naim

usi KHush-nawa mein hain sab hunar mujhe pahle tha na qayas bhi

Hasan Naim

MORE BYHasan Naim

    usī ḳhush-navā meñ haiñ sab hunar mujhe pahle thā na qayās bhī

    usī ḳhush-navā pe sajā hai kyā mirī shā.irī libās bhī

    vo ġhazal ruup liye hue mujhe har maqām pe le gayā

    kabhī dasht-e-yār ke darmiyāñ kabhī shahr-e-fikr ke paas bhī

    jise itnā auj-e-nazar milā use kyuuñ na dard-e-zamīñ mile

    kisī falsafe nuzūl hai tire lab pe kalma-e-yās bhī

    koī jaise nok-e-sināñ liye shab-o-roz sar pe khaḌā rahā

    hai aziyyatoñ ke shumār meñ ye aziyyatoñ hirās bhī

    ruḳh-e-dāġh-e-dil ke sivā 'hasan' maiñ navā-e-be-dil-o-shād huuñ

    inhī āshiqoñ hai rañg bhī unhī kāmiloñ hai baas bhī

    usi KHush-nawa mein hain sab hunar mujhe pahle tha na qayas bhi

    usi KHush-nawa pe saja hai kya meri shairi ka libas bhi

    wo ghazal ka rup liye hue mujhe har maqam pe le gaya

    kabhi dasht-e-yar ke darmiyan kabhi shahr-e-fikr ke pas bhi

    jise itna auj-e-nazar mila use kyun na dard-e-zamin mile

    kisi falsafe ka nuzul hai tere lab pe kalma-e-yas bhi

    koi jaise nok-e-sinan liye shab-o-roz sar pe khaDa raha

    hai aziyyaton ke shumar mein ye aziyyaton ka hiras bhi

    ruKH-e-dagh-e-dil ke siwa 'hasan' main nawa-e-be-dil-o-shad hun

    inhi aashiqon ka hai rang bhi unhi kaamilon ka hai bas bhi

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Hasan Naim (Pg. 210)
    • Author : Ahmad Kafeel
    • Publication : Qaumi Council Baraye Farogh-e-urdu Zaban (2006)
    • Edition : 2006
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now