usi ki dastaras mein aa gaya hun
usī kī dastaras meñ aa gayā huuñ
maiñ ab phir se qafas meñ aa gayā huuñ
mirā bujhnā yahāñ vājib hai ab to
havāoñ ke jo bas meñ aa gayā huuñ
tumhārā hijr kaTtā bhī nahīñ ab
ye kis umr-e-baras meñ aa gayā huuñ
mirī pahchān hai tum se faqat ab
tumhāre rang-o-ras meñ aa gayā huuñ
baḌā mushkil hai dil kā shaad honā
ki duniyā kī havas meñ aa gayā huuñ
jo chāho tum mujhe ab rang de do
tumhāre canvas meñ aa gayā huuñ
usi ki dastaras mein aa gaya hun
main ab phir se qafas mein aa gaya hun
mera bujhna yahan wajib hai ab to
hawaon ke jo bas mein aa gaya hun
tumhaara hijr kaTta bhi nahin ab
ye kis umr-e-baras mein aa gaya hun
meri pahchan hai tum se faqat ab
tumhaare rang-o-ras mein aa gaya hun
baDa mushkil hai dil ka shad hona
ki duniya ki hawas mein aa gaya hun
jo chaho tum mujhe ab rang de do
tumhaare canwas mein aa gaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.