usi ki nur-afshani zamin se aasman tak hai
usi ki nur-afshani zamin se aasman tak hai
Nisar Kubra Azimabadi
MORE BYNisar Kubra Azimabadi
usī kī nūr-afshānī zamīñ se āsmāñ tak hai
nigahbānī jahāñ kī us haqīqī pāsbāñ tak hai
tarastī haiñ nigāheñ sabz gumbad ke nazāre ko
rasā.ī bad-nasīboñ kī kahāñ us āstāñ tak hai
qalam kī tez-raftārī zabāñ kī garm-guftārī
nasīhat meñ asar honā kalām-e-ḳhush-bayāñ tak hai
chaman meñ jab ḳhizāñ aa.ī na gul hai aur na bulbul hai
navā-e-bulbul-e-shaidā bahār-e-bostāñ tak hai
agar vo dost sādiq hai to shikva sun nahīñ saktā
himāyat shikva bejā kī kisī nā-mehrbāñ tak hai
maza kyā aise jiine meñ na jab tāb-o-tavāñ baaqī
darāzī umr kī goyā fuzūl-e-dāstāñ tak hai
musībat aur rāhat haiñ rafīq-e-zindagī 'kubrā'
rihā.ī in rafīqoñ se nahīñ umr-e-ravāñ tak hai
usi ki nur-afshani zamin se aasman tak hai
nigahbani jahan ki us haqiqi pasban tak hai
tarasti hain nigahen sabz gumbad ke nazare ko
rasai bad-nasibon ki kahan us aastan tak hai
qalam ki tez-raftari zaban ki garm-guftari
nasihat mein asar hona kalam-e-KHush-bayan tak hai
chaman mein jab KHizan aai na gul hai aur na bulbul hai
nawa-e-bulbul-e-shaida bahaar-e-bostan tak hai
agar wo dost sadiq hai to shikwa sun nahin sakta
himayat shikwa beja ki kisi na-mehrban tak hai
maza kya aise jine mein na jab tab-o-tawan baqi
daraazi umr ki goya fuzul-e-dastan tak hai
musibat aur rahat hain rafiq-e-zindagi 'kubra'
rihai in rafiqon se nahin umr-e-rawan tak hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.