usi ki sara zamana misal deta hai
usī kī saarā zamāna misāl detā hai
jo karke nekiyāñ dariyā meñ Daal detā hai
tirā ḳhayāl achānak nadī meñ yādoñ kī
ga.e zamāne ke lamhe uchhāl detā hai
ye vaqt hai jo sadā mehrbāñ nahīñ hotā
uruuj de ke payām-e-zavāl detā hai
javāb DhūñDne nikleñ to umr kaT jaa.e
har ek pal hameñ itne savāl detā hai
gale lagā luuñ maiñ 'zāhid' bulā ke ḳhvāboñ meñ
tirā ḳhayāl mujhe ye kamāl detā hai
usi ki sara zamana misal deta hai
jo karke nekiyan dariya mein Dal deta hai
tera KHayal achanak nadi mein yaadon ki
gae zamane ke lamhe uchhaal deta hai
ye waqt hai jo sada mehrban nahin hota
uruj de ke payam-e-zawal deta hai
jawab DhunDne niklen to umr kaT jae
har ek pal hamein itne sawal deta hai
gale laga lun main 'zahid' bula ke KHwabon mein
tera KHayal mujhe ye kamal deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.