usi ki taswir hai jo dil par bani hui hai
usī kī tasvīr hai jo dil par banī huī hai
vo shāhzādī mirā muqaddar banī huī hai
maiñ tere ashkoñ ko apne sāñsoñ meñ jazb kar luuñ
tū ro rahī hai to merī jaañ par banī huī hai
kabhī to aa.e to apne dil meñ dikhā.ūñ tujh ko
ki terī tasvīr kitnī sundar banī huī hai
tirī qayāmat zarūr ḳhāse kī chiiz hogī
magar vo laḌkī jo us se baḌh kar banī huī hai
jo merī āñkhoñ se vaar hogā to dil pe hogā
mirī udāsī ko dekh ḳhanjar banī huī hai
sukūn kā ek pal bhī ham ko diyā nahīñ hai
ai zindagī tū to ham pe afsar banī huī hai
ye ḳhatm ho to visāl kī raat aa.e 'abdul'
abhī to ye shaam shām-e-mahshar banī huī hai
usi ki taswir hai jo dil par bani hui hai
wo shahzadi mera muqaddar bani hui hai
main tere ashkon ko apne sanson mein jazb kar lun
tu ro rahi hai to meri jaan par bani hui hai
kabhi to aae to apne dil mein dikhaun tujh ko
ki teri taswir kitni sundar bani hui hai
teri qayamat zarur KHase ki chiz hogi
magar wo laDki jo us se baDh kar bani hui hai
jo meri aankhon se war hoga to dil pe hoga
meri udasi ko dekh KHanjar bani hui hai
sukun ka ek pal bhi hum ko diya nahin hai
ai zindagi tu to hum pe afsar bani hui hai
ye KHatm ho to visal ki raat aae 'abdul'
abhi to ye sham sham-e-mahshar bani hui hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.