usi ki zat ko hai daiman sabaat-o-qayam
usī kī zaat ko hai dāi.man sabāt-o-qayām
qādīr o hai o karīm o muhaimin o minām
burūj bārah meñ lā kar rakhī vo bārīkī
ki jis ko pahuñche na fikrat na dānish o auhām
idhar farishta-e-karrobī aur udhar ġhilmāñ
qalam ko lauh pe baḳhshī hai tāqat-e-irqām
ye do haiñ shams o qamar aur saath un ke yaar
atārad o zuhal o zohra mushtarī bahrām
jo chāheñ ek palak Thahreñ ye so tāqat kyā
phirā kareñge ye āġhāz se le tā-anjām
bashar jo chāhe ki samjhe unheñ so kyā imkāñ
hai yaañ farishtoñ kī aajiz aquul aur ifhām
nikāle un se gul o meva shāḳh o barg-o-bār
sab us ke lutf-o-karam ke haiñ aam ye in.aam
isī ke baaġh se dil shaad ho ke khāte haiñ
chhuhāre kishmish o injīr o pista o bādām
chamak rahā hai usī kī ye qudratoñ kā nuur
bahr-zamāñ o bahr-sā.at o bahr-hañgām
ki us kā shukr kareñ shab se mā-ba-roz adā
itā.at us kī bajā lāveñ sub.h se tā-shām
'nazīr' nukta samajh mehr-o-fazl-e-ḳhāliq ko
isī ke fazl se donoñ jahāñ meñ hai ārām
usi ki zat ko hai daiman sabaat-o-qayam
qadir o hai o karim o muhaimin o minam
buruj barah mein la kar rakhi wo bariki
ki jis ko pahunche na fikrat na danish o auham
idhar farishta-e-karrobi aur udhar ghilman
qalam ko lauh pe baKHshi hai taqat-e-irqam
ye do hain shams o qamar aur sath un ke yar
atarad o zuhal o zohra mushtari bahram
jo chahen ek palak Thahren ye so taqat kya
phira karenge ye aaghaz se le ta-anjam
bashar jo chahe ki samjhe unhen so kya imkan
hai yan farishton ki aajiz aqul aur ifham
nikale un se gul o mewa shaKH o barg-o-bar
sab us ke lutf-o-karam ke hain aam ye inam
isi ke bagh se dil shad ho ke khate hain
chhuhaare kishmish o injir o pista o baadam
chamak raha hai usi ki ye qudraton ka nur
bahr-zaman o bahr-saat o bahr-hangam
ki us ka shukr karen shab se ma-ba-roz ada
itaat us ki baja lawen subh se ta-sham
'nazir' nukta samajh mehr-o-fazl-e-KHaliq ko
isi ke fazl se donon jahan mein hai aaram
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.