usi maqam pe ja kar hamein Thaharna hai
usī maqām pe jā kar hameñ Thaharnā hai
jahāñ se ḳhalq-e-ḳhudā ko kabhī guzarnā hai
hamārā haal bhī achchhā nahīñ hai barsoñ se
magar isī meñ guzar aur basar bhī karnā hai
har ek samt se yalġhār raushnī kī hai
hameñ to roz añdhere meñ yūñhī rahnā hai
vo ek zaat jo donoñ jahāñ kā ḳhāliq hai
darāz dast-e-talab bhī usī se karnā hai
hameñ in ā.inoñ se kuchh ġharaz nahīñ 'rizvāñ'
usī ke aks-e-musalsal hī se sañvarnā hai
usi maqam pe ja kar hamein Thaharna hai
jahan se KHalq-e-KHuda ko kabhi guzarna hai
hamara haal bhi achchha nahin hai barson se
magar isi mein guzar aur basar bhi karna hai
har ek samt se yalghaar raushni ki hai
hamein to roz andhere mein yunhi rahna hai
wo ek zat jo donon jahan ka KHaliq hai
daraaz dast-e-talab bhi usi se karna hai
hamein in aainon se kuchh gharaz nahin 'rizwan'
usi ke aks-e-musalsal hi se sanwarna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.