usi ne pyar baKHsha aur usi ne bandagi baKHshi
usi ne pyar baKHsha aur usi ne bandagi baKHshi
Gurcharan Mehta Rajat
MORE BYGurcharan Mehta Rajat
usī ne pyaar baḳhshā aur usī ne bandagī baḳhshī
mire mālik ne mujh ko is jahāñ kī har ḳhushī baḳhshī
adīboñ se bharī mahfil meñ aanā thā kahāñ mumkin
usī ne sher likhvā.e usī ne shā.irī baḳhshī
maiñ sāgar thā mujhe ḳhārā nahīñ rahne diyā us ne
ki lahrātī sī bal khātī mohabbat kī nadī baḳhshī
añdheroñ ke ghane sāyoñ kā qabza thā tabhī rab ne
rihā.ī un se dilvā.ī bashar ko raushnī baḳhshī
ḳhushī aur ġham meñ kyā hai farq ye mahsūs karne ko
sabhī ko dil diyā ik aur āñkhoñ ko namī baḳhshī
tirī kārī-garī ke sab haiñ dīvāne mire maulā
sitāre arsh ko baḳhshe zamīñ ko zindagī baḳhshī
'rajat' kī ziist guzregī mohabbat ke binā kaise
yahī sochā tabhī to rab ne us ko dostī baḳhshī
usi ne pyar baKHsha aur usi ne bandagi baKHshi
mere malik ne mujh ko is jahan ki har KHushi baKHshi
adibon se bhari mahfil mein aana tha kahan mumkin
usi ne sher likhwae usi ne shairi baKHshi
main sagar tha mujhe KHara nahin rahne diya us ne
ki lahraati si bal khati mohabbat ki nadi baKHshi
andheron ke ghane sayon ka qabza tha tabhi rab ne
rihai un se dilwai bashar ko raushni baKHshi
KHushi aur gham mein kya hai farq ye mahsus karne ko
sabhi ko dil diya ek aur aankhon ko nami baKHshi
teri kari-gari ke sab hain diwane mere maula
sitare arsh ko baKHshe zamin ko zindagi baKHshi
'rajat' ki zist guzregi mohabbat ke bina kaise
yahi socha tabhi to rab ne us ko dosti baKHshi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.