usi sahra ke hum bhi hain jahan diwane jate hain
usī sahrā ke ham bhī haiñ jahāñ dīvāne jaate haiñ
haqīqat ke ta'āqub meñ jahāñ afsāne jaate haiñ
dar-o-dīvār vaale tum darūn-e-ḳhāna vaale ham
so tum masjid kī jānib jaao ham maiḳhāne jaate haiñ
unheñ ye fikr un ke shahr kī tausī' kaise ho
mujhe tashvīsh mere haath se vīrāne jaate haiñ
hamārā dasht kyā sarsabz hai āb-e-nadāmat se
ki saare ahl-e-shahr aksar vahīñ pachhtāne jaate haiñ
vo miTTī kā badan hai yā koī jaadū kī puḌiyā hai
usī lamhe nahīñ hotā jab us ko paane jaate haiñ
vahīñ shāyad koī aglī shanāsā.ī kī mahfil ho
to chal dete haiñ ham bhī jis taraf begāne jaate haiñ
añdherī raat thī bārish thī aur masjid kā darvāza
to dekhā 'farhat-ehsās' ek dam mastāne jaate haiñ
usi sahra ke hum bhi hain jahan diwane jate hain
haqiqat ke ta'aqub mein jahan afsane jate hain
dar-o-diwar wale tum darun-e-KHana wale hum
so tum masjid ki jaanib jao hum maiKHane jate hain
unhen ye fikr un ke shahr ki tausi' kaise ho
mujhe tashwish mere hath se virane jate hain
hamara dasht kya sarsabz hai aab-e-nadamat se
ki sare ahl-e-shahr aksar wahin pachhtane jate hain
wo miTTi ka badan hai ya koi jadu ki puDiya hai
usi lamhe nahin hota jab us ko pane jate hain
wahin shayad koi agli shanasai ki mahfil ho
to chal dete hain hum bhi jis taraf begane jate hain
andheri raat thi barish thi aur masjid ka darwaza
to dekha 'farhat-ehsas' ek dam mastane jate hain
- Book : Mohabbat Kar Ke Dekho Na (Pg. 125)
- Author : Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.