usi sanam ke liye KHwar hum yahan kam hain
usī sanam ke liye ḳhvār ham yahāñ kam haiñ
mire raqīb hameñ kyā azāb-e-jāñ kam haiñ
mire chaman ko kisī kī nazar ne khāyā hai
ḳhizāñ kā daur nahīñ phir bhī titliyāñ kam haiñ
to kyā huā ki agar lakḌiyāñ nahīñ miltīñ
hamāre paas jalāne ko laḌkiyāñ kam haiñ
ye kis ke sog meñ mahtāb muñh chhupā.e hai
ye kis ke ġham meñ sitāre bhī zau-fishāñ kam haiñ
nigāh-e-ās se dekhe hai sab taraf sar-e-hashr
kisī ke palḌe meñ 'gulfām' nekiyāñ kam haiñ
usi sanam ke liye KHwar hum yahan kam hain
mere raqib hamein kya azab-e-jaan kam hain
mere chaman ko kisi ki nazar ne khaya hai
KHizan ka daur nahin phir bhi titliyan kam hain
to kya hua ki agar lakDiyan nahin miltin
hamare pas jalane ko laDkiyan kam hain
ye kis ke sog mein mahtab munh chhupae hai
ye kis ke gham mein sitare bhi zau-fishan kam hain
nigah-e-as se dekhe hai sab taraf sar-e-hashr
kisi ke palDe mein 'gulfam' nekiyan kam hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.