usi se puchhiye tasir uski
usī se pūchhiye tāsīr us kī
jise dushman kahe taqdīr us kī
musavvir canvas par ro rahā thā
bikī ab tak nahīñ tasvīr us kī
ahinsā kā pujārī ban gayā vo
hameñ chubhtī rahī shamshīr us kī
to 'akshat' is liye tum laḌ rahe the
bachānī thī tumheñ tasvīr us kī
usi se puchhiye tasir us ki
jise dushman kahe taqdir us ki
musawwir canwas par ro raha tha
biki ab tak nahin taswir us ki
ahinsa ka pujari ban gaya wo
hamein chubhti rahi shamshir us ki
to 'akshat' is liye tum laD rahe the
bachani thi tumhein taswir us ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.