usi tarah hamein zikr-e-KHuda zaruri hai
usī tarah hameñ zikr-e-ḳhudā zarūrī hai
ki jaise jism ko achchhī ġhizā zarūrī hai
kuchh aise kho.e tirī zaat meñ ki bhuul ga.e
nibhānā ḳhud se bhī ahd-e-vafā zarūrī hai
hai achchhī baat tabī.at meñ inkisār bhī ho
magar mizāj meñ thoḌī anā zarūrī hai
mire tabīb ne mujh ko davā to dī hai zarūr
shifā ke vāste lekin duā zarūrī hai
hai manziloñ pe pahuñchne kī justujū to hameñ
tumhāre jaisā koī naqsh-e-pā zarūrī hai
usi tarah hamein zikr-e-KHuda zaruri hai
ki jaise jism ko achchhi ghiza zaruri hai
kuchh aise khoe teri zat mein ki bhul gae
nibhana KHud se bhi ahd-e-wafa zaruri hai
hai achchhi baat tabiat mein inkisar bhi ho
magar mizaj mein thoDi ana zaruri hai
mere tabib ne mujh ko dawa to di hai zarur
shifa ke waste lekin dua zaruri hai
hai manzilon pe pahunchne ki justuju to hamein
tumhaare jaisa koi naqsh-e-pa zaruri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.