usi tarah ke shab-o-roz hain wahi duniya
usī tarah ke shab-o-roz haiñ vahī duniyā
purānī ḳhaak pe ta.amīr hai na.ī duniyā
maiñ apne aap meñ gum thā mujhe ḳhabar na huī
guzar rahī thī mujhe rauñdtī huī duniyā
har aadmī ko ye duniyā badal ke rakh degī
badal sakā na agar ab bhī aadmī duniyā
na.ī havā ko madad ke liye pukārtī hai
ḳhud apnī aag meñ jaltī huī na.ī duniyā
maiñ jis havāle se duniyā pe ġhaur kartā huuñ
usī tarah se kabhī kaash sochtī duniyā
maiñ apne asl kī jānib ravāñ-davāñ huuñ aur
bulā rahī hai musalsal mujhe mirī duniyā
usi tarah ke shab-o-roz hain wahi duniya
purani KHak pe tamir hai nai duniya
main apne aap mein gum tha mujhe KHabar na hui
guzar rahi thi mujhe raundti hui duniya
har aadmi ko ye duniya badal ke rakh degi
badal saka na agar ab bhi aadmi duniya
nai hawa ko madad ke liye pukarti hai
KHud apni aag mein jalti hui nai duniya
main jis hawale se duniya pe ghaur karta hun
usi tarah se kabhi kash sochti duniya
main apne asl ki jaanib rawan-dawan hun aur
bula rahi hai musalsal mujhe meri duniya
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.