utar phenko libas tan se ye shahr-e-dil ka riwaj nain hai
utaar pheñko libās tan se ye shahr-e-dil kā rivāj na.iiñ hai
maiñ shāhzāda huuñ paas mere qalam to hai sar pe taaj na.iiñ hai
fuzūl bātoñ meñ sarf kar dī hayāt jitnī thī paas mere
kahā sunā mā'zarat ki pās-e-vafā kī bhī mujh meñ laaj na.iiñ hai
harīf mere muqāble meñ khaḌe hue haiñ to kyā karūñ maiñ
jo kal milā thā vo dost ham-rah batā.ūñ kaise ki aaj na.iiñ hai
suḳhnavaro haa.e bazm-e-ġham hai yahāñ pe baiThe haiñ log jam kar
hazār shā'ir haiñ shahr bhar ke hamārā ‘ajmal-sirāj’ na.iiñ hai
batā.ūñ kyā dāstān apnī sunā.ūñ kyā haal zindagī kā
'nadīm' muddat se phir rahā huuñ milā koī kām-kāj na.iiñ hai
utar phenko libas tan se ye shahr-e-dil ka riwaj nain hai
main shahzada hun pas mere qalam to hai sar pe taj nain hai
fuzul baaton mein sarf kar di hayat jitni thi pas mere
kaha suna ma'zarat ki pas-e-wafa ki bhi mujh mein laj nain hai
harif mere muqable mein khaDe hue hain to kya karun main
jo kal mila tha wo dost ham-rah bataun kaise ki aaj nain hai
suKHnawaro hae bazm-e-gham hai yahan pe baiThe hain log jam kar
hazar sha'ir hain shahr bhar ke hamara ‘ajmal-siraj’ nain hai
bataun kya dastan apni sunaun kya haal zindagi ka
'nadim' muddat se phir raha hun mila koi kaam-kaj nain hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.