utarte jate hain miTTi mein jis yaqin se log
utarte jaate haiñ miTTī meñ jis yaqīn se log
daraḳht ban ke nikal ā.eñge zamīn se log
hamāre tarz-e-mohabbat meñ kuchh ḳharābī hai
ye kyoñ nikalne lage haiñ ḳhudā ke diin se log
phir is ke baa'd kahīñ bhī nazar nahīñ aa.e
mile the ḳhvāb meñ ik raat kuchh hasīn se log
ba-roz-e-hashr judā.ī kā aasrā le kar
jhagaḌ paḌeñge mohabbat ke fātihīn se log
bajā.e vāpsī nikleñge karbalā kī taraf
judā khaḌe haiñ madīne ke zā.erīn se log
utarte jate hain miTTi mein jis yaqin se log
daraKHt ban ke nikal aaenge zamin se log
hamare tarz-e-mohabbat mein kuchh KHarabi hai
ye kyon nikalne lage hain KHuda ke din se log
phir is ke ba'd kahin bhi nazar nahin aae
mile the KHwab mein ek raat kuchh hasin se log
ba-roz-e-hashr judai ka aasra le kar
jhagaD paDenge mohabbat ke fatihin se log
bajae wapsi niklenge karbala ki taraf
juda khaDe hain madine ke zaerin se log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.