uTh chuka dil mera zamane se
uTh chukā dil mirā zamāne se
uḌ gayā murġh āshiyāne se
dekh kar dil ko muḌ ga.ī mizhgāñ
tiir ḳhālī paḌā nishāne se
chashm ko naqsh-e-pā karūñ kyūñkar
duur ho ḳhaak āstāne se
ham ne paayā to ye sanam paayā
is ḳhudā.ī ke kār-ḳhāne se
terī zanjīr-e-zulf se nikle
ye tavaqqo na thī divāne se
ai 'fuġhāñ' dard-e-dil sunūñ kab tak
uḌ ga.ī niind is fasāne se
uTh chuka dil mera zamane se
uD gaya murgh aashiyane se
dekh kar dil ko muD gai mizhgan
tir KHali paDa nishane se
chashm ko naqsh-e-pa karun kyunkar
dur ho KHak aastane se
hum ne paya to ye sanam paya
is KHudai ke kar-KHane se
teri zanjir-e-zulf se nikle
ye tawaqqo na thi diwane se
ai 'fughan' dard-e-dil sunun kab tak
uD gai nind is fasane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.