uTh chuka hai paDaw KHwabon ka
uTh chukā hai paḌāv ḳhvāboñ kā
ham haiñ aur silsila sarāboñ kā
āgahī hai salīb jazboñ kī
zindagī hai safar azāboñ kā
fikr ye hai sukūñ se raat kaTe
zikr chaltā hai inqilāboñ kā
shahr apnā harā-bharā ik baaġh
chalte phirte hue gulāboñ kā
chāñdnī ke sabhī charāġhoñ meñ
ḳhuun jaltā hai āftāboñ kā
ḳhvāhishoñ kā ġhulām niklā 'yās'
shāhzāda kisī ke ḳhvāboñ kā
uTh chuka hai paDaw KHwabon ka
hum hain aur silsila sarabon ka
aagahi hai salib jazbon ki
zindagi hai safar azabon ka
fikr ye hai sukun se raat kaTe
zikr chalta hai inqilabon ka
shahr apna hara-bhara ek bagh
chalte phirte hue gulabon ka
chandni ke sabhi charaghon mein
KHun jalta hai aaftabon ka
KHwahishon ka ghulam nikla 'yas'
shahzada kisi ke KHwabon ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.