uTh is hujum se ai bewafa alahida ho
uTh is hujūm se ai bevafā alāhida ho
mirā hisāb chukā de zarā alāhida ho
ye kārvāñ tujhe raste meñ chhoḌ jā.egā
tū apnā qāfila ban ḳhaak uḌā alāhida ho
ye bāġh-e-husn hamesha harā nahīñ rahtā
badalne vaalī hai āb-o-havā alāhida ho
hamārā jurm hai kaalā libās aur mātam
hamāre jurm kī shāyad sazā alāhida ho
ye log dost nahīñ haiñ faqat munāfiq haiñ
na in ko dāġh-e-mohabbat dikhā alāhida ho
tū ḳhāk-zād hai miTTī tirā Thikāna hai
utar ke taḳht se miTTī pe aa alāhida ho
yahāñ pe sabz rutoñ ko agar bachānā hai
alam kā surḳh pharerā banā alāhida ho
maiñ apne ġham kī bahāroñ meñ mast huuñ yā-rab
mujhe chaman se na vāpas bulā alāhida ho
mire karam haiñ jale aur tire karam chamke
hamārā donoñ kā shāyad ḳhudā alāhida ho
agar zamīn pe qabza huā to kyā ġham hai
mire ḳhayāl kā kuchh silsila alāhida ho
mujhe ġhazal kī tavālat pe zor denā paḌā
ki lutf aur nishāñ ranj kā alāhida ho
vo ḳhud qatār meñ baiThā rahā magar 'faisal'
mujhe ishāre se kahne lagā alāhida ho
uTh is hujum se ai bewafa alahida ho
mera hisab chuka de zara alahida ho
ye karwan tujhe raste mein chhoD jaega
tu apna qafila ban KHak uDa alahida ho
ye bagh-e-husn hamesha hara nahin rahta
badalne wali hai aab-o-hawa alahida ho
hamara jurm hai kala libas aur matam
hamare jurm ki shayad saza alahida ho
ye log dost nahin hain faqat munafiq hain
na in ko dagh-e-mohabbat dikha alahida ho
tu KHak-zad hai miTTi tera Thikana hai
utar ke taKHt se miTTi pe aa alahida ho
yahan pe sabz ruton ko agar bachana hai
alam ka surKH pharera bana alahida ho
main apne gham ki bahaaron mein mast hun ya-rab
mujhe chaman se na wapas bula alahida ho
mere karam hain jale aur tere karam chamke
hamara donon ka shayad KHuda alahida ho
agar zamin pe qabza hua to kya gham hai
mere KHayal ka kuchh silsila alahida ho
mujhe ghazal ki tawalat pe zor dena paDa
ki lutf aur nishan ranj ka alahida ho
wo KHud qatar mein baiTha raha magar 'faisal'
mujhe ishaare se kahne laga alahida ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.