uTh jaane par to jalwe tumhaare nihan kahan
uTh jaane par to jalwe tumhaare nihan kahan
Abdur Rasheed Khan Kaifi Mahkari
MORE BYAbdur Rasheed Khan Kaifi Mahkari
uTh jaane par to jalve tumhāre nihāñ kahāñ
tār-e-nazar hai parda koī darmiyāñ kahāñ
kul-kā.enāt kyā hai ba-juz yās-o-ārzū
dil se ziyāda vus.at-e-kaun-o-makāñ kahāñ
uTThe haiñ ab nigāh se parde fareb ke
juz dard-o-ġham ḳhushī kā jahāñ meñ nishāñ kahāñ
'kaifī' karishme apne hī kaif-e-nazar ke haiñ
is dahr-e-be-bisāt meñ rañgīniyāñ kahāñ
uTh jaane par to jalwe tumhaare nihan kahan
tar-e-nazar hai parda koi darmiyan kahan
kul-kaenat kya hai ba-juz yas-o-arzu
dil se ziyaada wusat-e-kaun-o-makan kahan
uTThe hain ab nigah se parde fareb ke
juz dard-o-gham KHushi ka jahan mein nishan kahan
'kaifi' karishme apne hi kaif-e-nazar ke hain
is dahr-e-be-bisat mein ranginiyan kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.