uTh raha hai aashiyanon se dhuan dekhega kaun
uTh rahā hai āshiyānoñ se dhuāñ dekhegā kaun
hai magar ta.abīr ḳhvāb-e-rā.egāñ dekhegā kaun
jal rahī hai dil meñ ik āfāq se rishte kī lau
jaise ham dekhe haiñ sū-e-asmāñ dekhegā kaun
tū bahut ā.indagāñ kā khīñchtā hai intizār
be-ḳhabar vo raunaq-e-ā.indagāñ dekhegā kaun
ek ehsās-e-shikast-e-shab bahut raushan magar
be-karāñ is be-hisī ke darmiyāñ dekhegā kaun
aarzū kā ik jahān-e-tāza bhī manzar meñ hai
maiñ jise pahchāntā huuñ vo jahāñ dekhegā kaun
rāste raushan bahut kartā rahā huuñ zer-e-pā
duur tak phaile haiñ qadmoñ ke nishāñ dekhegā kaun
daad jāñkāhī kī kis se paa.eñ ab ahl-e-hunar
ḳhūñ-chakīdā ḳhāma ristī uñgliyāñ dekhegā kaun
dekhte haiñ sab furū-e-shauq kī zebā.isheñ
kam nahīñ kuchh ye ma.āl-e-shauq haañ dekhegā kaun
rafta rafta ho rahegā zaḳhm-e-dil kā indimāl
bujhte bujhte bujh hī jā.egī fuġhāñ dekhegā kaun
dekh dil meñ ho rahā hai ik nayā manzar tulūa
jo idhar bikhrī paḌī hai kahkashāñ dekhegā kaun
uTh raha hai aashiyanon se dhuan dekhega kaun
hai magar tabir KHwab-e-raegan dekhega kaun
jal rahi hai dil mein ek aafaq se rishte ki lau
jaise hum dekhe hain su-e-asman dekhega kaun
tu bahut aaindagan ka khinchta hai intizar
be-KHabar wo raunaq-e-aindagan dekhega kaun
ek ehsas-e-shikast-e-shab bahut raushan magar
be-karan is be-hisi ke darmiyan dekhega kaun
aarzu ka ek jahan-e-taza bhi manzar mein hai
main jise pahchanta hun wo jahan dekhega kaun
raste raushan bahut karta raha hun zer-e-pa
dur tak phaile hain qadmon ke nishan dekhega kaun
dad jaankahi ki kis se paen ab ahl-e-hunar
KHun-chakida KHama risti ungliyan dekhega kaun
dekhte hain sab furu-e-shauq ki zebaishen
kam nahin kuchh ye maal-e-shauq han dekhega kaun
rafta rafta ho rahega zaKHm-e-dil ka indimal
bujhte bujhte bujh hi jaegi fughan dekhega kaun
dekh dil mein ho raha hai ek naya manzar tulua
jo idhar bikhri paDi hai kahkashan dekhega kaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.