Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

uTha jo dast-e-sitam qatl-e-be-nawa ke liye

Arsh Siddiqui

uTha jo dast-e-sitam qatl-e-be-nawa ke liye

Arsh Siddiqui

MORE BYArsh Siddiqui

    uThā jo dast-e-sitam qatl-e-be-navā ke liye

    nigāh-e-shauq ne bose har ik adā ke liye

    mahak hai tere shabistāñ bū-e-zulf-e-sabā

    chalī hai bād-e-sabā ik shikasta-pā ke liye

    suno ki dil ko mire e.atibār-e-zīst nahīñ

    rukā huuñ ek nafas arz-e-mudda.ā ke liye

    mire ḳhayāl ne pahnā libās-e-harf-o-nidā

    sarīr-e-ḳhāma hai raqsāñ mirī navā ke liye

    dayār-e-dil to huā vaqf-e-āhuvān-e-javāñ

    ab aur koī banā.eñge ghar ḳhudā ke liye

    mire ḳhayāl ko qaid-e-makāñ qubūl nahīñ

    hudūd-e-bahr-o-bayābāñ nahīñ havā ke liye

    rahī nazar meñ hamāre urūs-e-shauq-e-mudām

    fanā-e-zīst rahe ziist baqā ke liye

    kise batā.eñ ki ham ne pilā ke ḳhūn-e-jigar

    chaman meñ phuul khilā.e tirī qabā ke liye

    ḳhayāl-o-rañg-o-nuqūsh-o-hurūf-o-lauh-o-qalam

    bichhe haiñ daam jamāl-e-gurez-pā ke liye

    uTha jo dast-e-sitam qatl-e-be-nawa ke liye

    nigah-e-shauq ne bose har ek ada ke liye

    mahak hai tere shabistan ki bu-e-zulf-e-saba

    chali hai baad-e-saba ek shikasta-pa ke liye

    suno ki dil ko mere eatibar-e-zist nahin

    ruka hun ek nafas arz-e-muddaa ke liye

    mere KHayal ne pahna libas-e-harf-o-nida

    sarir-e-KHama hai raqsan meri nawa ke liye

    dayar-e-dil to hua waqf-e-ahuwan-e-jawan

    ab aur koi banaenge ghar KHuda ke liye

    mere KHayal ko qaid-e-makan qubul nahin

    hudud-e-bahr-o-bayaban nahin hawa ke liye

    rahi nazar mein hamare urus-e-shauq-e-mudam

    fana-e-zist rahe zist ki baqa ke liye

    kise bataen ki hum ne pila ke KHun-e-jigar

    chaman mein phul khilae teri qaba ke liye

    KHayal-o-rang-o-nuqush-o-huruf-o-lauh-o-qalam

    bichhe hain dam jamal-e-gurez-pa ke liye

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now