uTha kar naz se burqa dikha kar ru-e-zeba ko
uTha kar naz se burqa dikha kar ru-e-zeba ko
Jameela Khuda Bakhsh
MORE BYJameela Khuda Bakhsh
uThā kar naaz se burqā dikhā kar rū-e-zebā ko
tamāshā kar diyā dilbar ne mujh mahv-e-tamāshā ko
munāsib thī jo jā bas us meñ rakkhe tohfa-e-dil-bar
nigah meñ yaas ko hasrat ko dil meñ sar meñ saudā ko
dikhātī hai mire ashkoñ kī tuġhyānī mujhe kyā kuchh
habāb-e-dil kabhī dekhā kabhī amvāj-e-dariyā ko
ḳhayāl-e-rū-e-zebā meñ to dāmān-e-sahar dekhā
shab-e-furqat tasavvur kar liyā zulf-e-chalīpā ko
marīz-e-hijr terā mehmāñ hai ab koī dam kā
dikhā.e vaqt-e-āḳhir nabz apnī kyā masīhā ko
dil-e-bīmār meñ ghar kar liyā hai dard ne apnā
ilāhī maiñ rakhūñ kis jā in armān-o-tamanna ko
tumheñ to ai sanam manzūr apnī parda-poshī thī
dikhā.ī tūr-e-sīnā par tajallī kis ne muusā ko
ḳhajil kaisā kiyā hai dīda-o-dil ne fidā.ī ke
subū ko jaam ko miinā ko aur sāġhar ko sahbā ko
charāġh-e-ishq raushan kar diyā farhād-o-majnūñ ne
kiyā ābād us ne koh ko aur us ne sahrā ko
rahā vīrān ba.ad-az-marg-e-hāfiz ek muddat tak
kiyā ābād jā kar ham ne gul-gasht-e-muslla ko
mire pahlū ko muusā dekh kar hairat se kahte haiñ
chhupāyā kis tarah dil meñ 'jamīla' is tajallā ko
uTha kar naz se burqa dikha kar ru-e-zeba ko
tamasha kar diya dilbar ne mujh mahw-e-tamasha ko
munasib thi jo ja bas us mein rakkhe tohfa-e-dil-bar
nigah mein yas ko hasrat ko dil mein sar mein sauda ko
dikhati hai mere ashkon ki tughyani mujhe kya kuchh
habab-e-dil kabhi dekha kabhi amwaj-e-dariya ko
KHayal-e-ru-e-zeba mein to daman-e-sahar dekha
shab-e-furqat tasawwur kar liya zulf-e-chalipa ko
mariz-e-hijr tera mehman hai ab koi dam ka
dikhae waqt-e-aKHir nabz apni kya masiha ko
dil-e-bimar mein ghar kar liya hai dard ne apna
ilahi main rakhun kis ja in arman-o-tamanna ko
tumhein to ai sanam manzur apni parda-poshi thi
dikhai tur-e-sina par tajalli kis ne musa ko
KHajil kaisa kiya hai dida-o-dil ne fidai ke
subu ko jam ko mina ko aur saghar ko sahba ko
charagh-e-ishq raushan kar diya farhad-o-majnun ne
kiya aabaad us ne koh ko aur us ne sahra ko
raha viran baad-az-marg-e-hafiz ek muddat tak
kiya aabaad ja kar hum ne gul-gasht-e-muslla ko
mere pahlu ko musa dekh kar hairat se kahte hain
chhupaya kis tarah dil mein 'jamila' is tajalla ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.