uTha ke bar-e-hiqarat hansi-KHushi maine
uThā ke bār-e-hiqārat hañsī-ḳhushī maiñ ne
nigāh-e-nāz kī nafrat bhī luuT lī maiñ ne
ḳhud apnī zaat se bhī kar ke dushmanī maiñ ne
nibāh dī ġham-e-furqat se dostī maiñ ne
taḌap ke pursish-e-ġham par vo aah kī maiñ ne
dil-e-tabāh kī tasvīr khīñch dī maiñ ne
sham-e-umīd kī gul kar ke raushnī maiñ ne
nashāt-e-ġham kī na.ī raah DhūñDh lī maiñ ne
ġhazab hai us ko ḳhabar tak na ho ki jis ke liye
taḌap-taḌap ke shab-e-ġham guzār dī maiñ ne
kisī ke soz-e-mohabbat kī aañch de de kar
ġham-e-hayāt kī rangat nikhār dī maiñ ne
mazā milā hai taḌapne kā jab se furqat meñ
tire karam kī tamanna bhī chhoḌ dī maiñ ne
tamāshā apnī tabāhī kā ḳhuub dekh liyā
nisār kar ke tire ġham pe har ḳhushī maiñ ne
fasāna-e-ġham-e-furqat na pūchhiye 'sāhir'
guzārnā thī shab-e-ġham guzār dī maiñ ne
uTha ke bar-e-hiqarat hansi-KHushi main ne
nigah-e-naz ki nafrat bhi luT li main ne
KHud apni zat se bhi kar ke dushmani main ne
nibah di gham-e-furqat se dosti main ne
taDap ke pursish-e-gham par wo aah ki main ne
dil-e-tabah ki taswir khinch di main ne
sham-e-umid ki gul kar ke raushni main ne
nashat-e-gham ki nai rah DhunDh li main ne
ghazab hai us ko KHabar tak na ho ki jis ke liye
taDap-taDap ke shab-e-gham guzar di main ne
kisi ke soz-e-mohabbat ki aanch de de kar
gham-e-hayat ki rangat nikhaar di main ne
maza mila hai taDapne ka jab se furqat mein
tere karam ki tamanna bhi chhoD di main ne
tamasha apni tabahi ka KHub dekh liya
nisar kar ke tere gham pe har KHushi main ne
fasana-e-gham-e-furqat na puchhiye 'sahir'
guzarna thi shab-e-gham guzar di main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.