uTha ke gham tera ai zindagi na roenge
uThā ke ġham tirā ai zindagī na ro.eñge
hamārā va.ada rahā ab kabhī na ro.eñge
ham apne siine pe rakh leñge zabt kā patthar
agar hai is meñ tumhārī ḳhushī na ro.eñge
hamāre ġham ne tumheñ phir se kar diyā hai udaas
tumhāre sāmne ab ham kabhī na ro.eñge
ham apnī shiddat-e-ehsās ko chhupā leñge
sunā ke apnī kabhī bebasī na ro.eñge
ġhamoñ kā bojh uThā leñge ham akele hī
yaqīn kījiye ham vāqa.ī na ro.eñge
uTha ke gham tera ai zindagi na roenge
hamara wada raha ab kabhi na roenge
hum apne sine pe rakh lenge zabt ka patthar
agar hai is mein tumhaari KHushi na roenge
hamare gham ne tumhein phir se kar diya hai udas
tumhaare samne ab hum kabhi na roenge
hum apni shiddat-e-ehsas ko chhupa lenge
suna ke apni kabhi bebasi na roenge
ghamon ka bojh uTha lenge hum akele hi
yaqin kijiye hum waqai na roenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.