Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

uTha le baDh ke ise ye haram thoDi hai

Hameed Dilkash Khandwi

uTha le baDh ke ise ye haram thoDi hai

Hameed Dilkash Khandwi

MORE BYHameed Dilkash Khandwi

    uThā le baḌh ke ise ye harām thoḌī hai

    ye rūh-afzā hai Tharre jaam thoḌī hai

    ye fazl-e-rabbī hai rishvat na boliye is ko

    to aise maal khānā harām thoḌī hai

    sharīf logoñ ko jo chāhe bol dete haiñ

    harām-ḳhoroñ ke muñh meñ lagām thoḌī hai

    hamārī tarah rizq-e-halāl khaa.e jo

    hamāre netā aisā maqām thoḌī hai

    ye jhoñpḌī hai yahāñ yuuñ kaam chaltā hai

    kisī ra.iis ke ghar nizām thoḌī hai

    aziim sho.arā se hāsil hue haiñ ye tohfe

    jo paḌh rahā huuñ ye merā kalām thoḌī hai

    tumhārā hukm bajā laa.e kis liye 'dilkash'

    tumhāre baap koī ġhulām thoḌī hai

    uTha le baDh ke ise ye haram thoDi hai

    ye ruh-afza hai Tharre ka jam thoDi hai

    ye fazl-e-rabbi hai rishwat na boliye is ko

    to aise mal ka khana haram thoDi hai

    sharif logon ko jo chahe bol dete hain

    haram-KHoron ke munh mein lagam thoDi hai

    hamari tarah hi rizq-e-halal khae jo

    hamare neta ka aisa maqam thoDi hai

    ye jhonpDi hai yahan yun hi kaam chalta hai

    kisi rais ke ghar ka nizam thoDi hai

    azim shoara se hasil hue hain ye tohfe

    jo paDh raha hun ye mera kalam thoDi hai

    tumhaara hukm baja lae kis liye 'dilkash'

    tumhaare bap ka koi ghulam thoDi hai

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now