uThaega kab tu hijabaat saqi
uThā.egā kab tū hijābāt saaqī
giraftār mushkil meñ hai zaat saaqī
ye mahsūr kis dā.ere meñ huī huuñ
na din hī mirā na mirī raat saaqī
agar mil ga.e ho to ruk jaao do pal
na jaane ho phir kab mulāqāt saaqī
yahāñ hosh vāloñ kā jiinā hai mushkil
tū le chal hameñ phir ḳharābāt saaqī
tirā mai-kada tere pyāle subūhī
kare koī kaise shikāyāt saaqī
'sahar' tū ne āñkhoñ se aisī pilā.ī
na bhūle tirī ham mudārāt saaqī
uThaega kab tu hijabaat saqi
giraftar mushkil mein hai zat saqi
ye mahsur kis daere mein hui hun
na din hi mera na meri raat saqi
agar mil gae ho to ruk jao do pal
na jaane ho phir kab mulaqat saqi
yahan hosh walon ka jina hai mushkil
tu le chal hamein phir KHarabaat saqi
tera mai-kada tere pyale subuhi
kare koi kaise shikayat saqi
'sahar' tu ne aankhon se aisi pilai
na bhule teri hum mudaraat saqi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.